Sunday, November 21, 2004

Yahooo! Azadiiiiiiiiii

Assalaam-O-Alaikum,
Uff now I am free, it was very difficult to be alone in Ramadhan. Hmmm, and can't talk to people much as well. Yeah, I know what you people are thinking. Aray chandaa, I wasn't in Minna but in Aitakaaf. Abb I am back and very much busy as well. So, I will bug you people but after longer duration.

There is a series of Thakay howay Shair started at our group, so, You people will have to read it and bear it.

RD:

Shaid mujhe Nikal k kuch KHA rahay hain ap
Mehfil mai is khyal se phir aa gaya hon mai .........................


AayDee:

shaid pay yaqeen kerna hota hay kab sahee
jo kha rahay hain wo khila tau nahee rahay


RD:

khanay k liye sab hain yahan is deyar mai
khain ap khilanay walay hi tou nahi...........

jab se hua hai band shadioon ka khana
ta'aluq ap ka b dil jalanay walon se tou nahi .......


UBR:

mushaayaro.n me.n police vaalo.n kii 'duty' lagatii hai
aur vo ghar jaate jaate Khud shaayar ban jaate hai.n. Is
mauzuu par ek sher:

raftaa raftaa har police vaale ko shaayar kar diyaa
mahafil-e-sher-o-suKhan me.n bhej kar sarakaar ne
ek qaidii subah ko phaa.Nsii lagaa kar mar gayaa
raat bhar Gazale.n sunaa_ii.n us ko thaanedaar ne


Intizaar:

Shadi ki baat kar keh chaid diyaa hay mujh koo
Dil kou pateela samajh keh ragaid diya hay iss kou

Khanay main kiyaa rakha hay Woh tou hay hii khilanaan
Dataa Darbaar jaa naan tou mairay liyaay bhii lay anaan

Pakanay main hoo haath Hamaraa tou Paraishaan naan HO jaa naan
Jab tak wooH atii nahien part time bhi tou hay laga naan

Yaqeen nahien hay Tum koo tou Imm bhai seh Poochoo
Hubby keh Chubby honay main Haath kiss kaa hay bata naan

Shadi Shadii SHadiii, Sun Sun Keh HOo gaa aiy hain Adiii
Hoti kiya yeh balaa hay? Zaraa Sooch keH bataa naan


RD:

aray............

in hakoomati baton mai mujhe na tum ghaseeto
hal hai is ka jo ho hukam bus us pa ankhiaan meeto...

ab to shadi k khanay mai milta nahi sookha naan
bhol b jao ab mehndii mai milnay walay pakwaan

chup raho b'aee Police waloon ko koi bta na dai yeh ja k
ain gai DARBAAR ka sun k wahan b jain gai FINE laga k

khanay mai gar par gaya ghalti se b hath tumhara
hum to sooch k ghabrai hain k kia ho ga haal hamara

ghar wali lai aao to tab hum ko b bat'lana
hum b daira jama hi lain gai ,subah shaam wahin khain gai khana

Imm bhai ke to bat hi choro keun bhabi se pitwao gai
khud ko ghar ko bhago gai ,bhai ko kaisay bachao gai?

jo sun k shadi ka tum ho gaye ho adii....
yeh to zara btaoo k kab karo gai ab tum shadi

hum to kehtay hain bhai k tum jab ban jao BAKRA...
utha utha k thak jao tum BEWI ka har NAKHRA

tab yeh kehna k shadi kia hoti hai sarkaar.......
hamara to bus hai aik hi nara shadi hai bekaar..........;)


Intizaar:


Well, although I have paper tommorow (bhai logoon dua karnaan) I felt like continuing the Shaid series. Tou it starts like this:

Sahdi keh Khanoon peh howa hay jou BAN
Waja hay uss kee Kuch bhai logoon Kaa Nisbul-Ain

Hakumat aur police seh dartay hain bauhat Aap
Tax khanain kaa Aap nain bhi Tou nahien kiyaa paap

Khanain koo jou naan mila tou lagta hay, hoga bura haal tumhara
Hamaray Khanay Seh Ghabranain ki koi baat nahien Detol soap hay naan hamara

Ghar wali lai aa ain gay tou aaap kou tou zaroor batain gay
Aaap hiii tou Walimain kaay Khanain kaa bandobast karwain gay

Imm bhai kii jou hogi pitai tou hoon naan aaap paraishaan
Aaadii jab aap bhii hoon gay tou khaa ain gay dou aur naan

Aadii tou hain sun sun keh jou aap nain kiya sawal
Kab, Kahaan aur Kiss seh hogi? Allah hii janain haaal

Biwi kaa hoo nakhra, yaa hum banain bakraa
Tum naaan samjhoo gay yaroo, yeh maamla hay wakhra

Abb bolnaa naan yeh keh tumhain hum samjhaa dain
Chaloo line main peechay lagoo Kiyaa itnii jaldi bata dain.


Achaa, Its time to go now.

Allah-Hafiz.

No comments: